Kamar dard ka ilaj | Health And Beauty Tips With Sara

Insaan ki roz maraah zindagi aur aajkal aik bara masla kamar dard bantaa ja raha hai, taqreeban har 5 mein se 3 mard o khawateen kamar dard ke maslay ka shikaar hain. Iske elawa teen chothai log apni Umar ke kisi na kisi hissay mein is maslay ka shikaar ho jatay hain aur un mein ziyada tadaad khawateen ki hoti hain. Kamar dard ki sab se barri wajah daur haazir ki machini zindagi hai. Iske alawa munasib jismani mushaqqat nah karna kamar dard mein mubtala honay ki barri wajah hai.
Kamar dard ka ilaj | Health And Beauty Tips With Sara

Kamar dard mumkin hai ke thori muddat ke liye ho aur yeh bhi mumkin hai ke koi wajah musalsal is maslay ka shikaar ban rahi ho. Agar marz mein shiddat aajay to dard is se ziyada arsay ke liye rehti hai. aur baaz afraad taa hayaat kamar dard ke maslay ka shikaar ho satke hain.

Kamar dard ki aqsam


Baaz auqaat kamar mein dard achanak hone lagta hai aur harkat ya jagah tabdeel karne par daur ho jata hai, aur dard jis wajah se ho raha hai woh purani bhi ho sakti hai. Dard ki shiddat aur muddat ke lihaz se kamar dard ko mandarja zail aqsam mein taqseem kya jata hai.
1. Aam aur shadeed dard
Aam aur shadeed kamar dard ka dorania taqreeban 4 se 6 hafton par mushtamil hota hai, is qisam ke dard se kamar mein achanak aur shadeed dard mehsoos ho taa hai, is qisam ke dard ki vjohat chout lagna, haddi ke tootna ya fracture, operation ya surgery waghera ho sakti hain. Iss qism ka kamar dard adviyat, warzish aur gharelo totkay istmal karne se khatam ho jata hai.
2. Daimi aur mustaqil dard
Doosri qisam daimi aur mustaqil rehne wale kamar dard ki hai. jo chout ya zakham ke theek ho jane ke baad kayi hafton, mahino balkay barson tak rehta hai. Iss qisam ke dard mein mard o khawateen ke jismani aaza mein khinchao aur dard rehta hai, jiski wajah se aap aasani se harkat nahi kar saktay.

Kamar dard ki wajohat


Mard o khawateen mein dard ki vjohat mukhtalif ho sakti hain lekin ziyada tar vjohat aik jaisi hoti hain. Mandarja zail mein mard o khawateen mein kamar dard ki vjohat alehda se bayan ki gayi hain.
Khawateen mein dard ki wajohat
Jismani kamzoree, baar baar hamal hona, jhuk ke baithna, jharoo ya safai karna, bhaari wazan uthana, wazan ki kami, shikam mein dard, onche airee wali jotiyan pehnana, aur khawateen ke khaas amraaz waghera kamar dard ki wajohat ho sakti hain. Inhen wajohat ki bana par khawateen mein dard jyada dekhnay mein aata hai.
Mardon mein kamar dard ki wajohat
Burhapa ya badhti Umar, joron ki takleef, motapa, shadeed qabz, pait ke bil laytna, bhaari wazan uthana, ziyada der jhuk kar kaam karna waghera kamar dard ki vjohat ho sakti hain.
Iske alawa kamar dard ki wajohat mein kamar ke azlaat ka kamzor hona, kamar mein chout ka lagna, kamar ka operation ya surgery, sadma ya trauma, depration, reerh ki haddi mein soozish aur tumors waghera ho sakti hain.

Kamar dard ki alamaat


Kamar dard ke masle mein kamar ke azlaat kamzor ho jatay hain aur chalne phirnay se bhi dard hota hai. Kamar ke sath sath tangon, gardan, hathon aur deegar jismani aaza mein dard shuru ho jata hai. Mareez ko sakht be cheeni hoti hai, mareez aasani se jhuk, uth aur baith nahi sakta. Shadeed dard ki soorat mein bukhar bhi ho jata hai, ilawa azeen qabz aur be khwabi jaisay marz bhi la-haq ho satke hain.

Kamar dard ka ilaj


Is marz ke ilaj ke liye bohat saaray muaser ilaaj kiye jatay hain, lekin durust tareeqa yeh hai ke mukammal aaraam aur mustand doctor ki zair nigrani ilaaj kya jaye. Kamar dard control karne ke liye chand mufeed tips mandarja zail mein batayi ja rahi hain, jin par amal kar ke mard o khawateen shadeed kamar dard se kaafi had tak aaraam haasil kar satke hain.

Bed rest zaroor ki jaye lekin itni bhi lambay arsay tak nah ki jaye ke kamar ke azlaat ghair mamooli aaraam ki wajah se kamzor par jayen. Driving seat aur kursi waghera par munasib aur durust tareeqa se betha jaye taakay kamar ke azlaat mein koi khinchao waghera peda nah ho.
Apne pait ke bil mat soyen kyunkay is terhan sonay se kamar dard la-haq honay ka khatrah ziyada rehta hai.

Khane mein jyada chiknai wali, roghan aur khati ashiya ke istemaal se parhaiz karen avrkhorak mein vitamin aur calcium se bharpoor qudrati ghzaon ka istemaal karen. qabz aur bad hazmi ki soorat mein pehlay un amraaz ka ilaaj kya jaye, taakay nizaam inhizam behtar ho aur kamar dard ke maslay se chhutkara haasil kya ja sakay.

Haamla khawateen apni roz maraah khoraak par ziyada tawajah den taakay azlaati aur aasabi kamzoree nah honay paye. haamla khawateen mushaqqat talabb kamon se guraiz karen. Depression ki shikaar mariza ki pareshaniyon ko mumkina had tak daur kya jaye taakay ijtimai tor par is ki sehat mein behtari ke sath sath kamar dard ko bhi daur kya ja sakay.

Subah saverey munasib warzish aur halki phulki chehal qadmi zaroor ki jaye taakay kamar ke azlaat ki lachak aur tandrusti bahaal rakhi ja sakay. Bhaari cheeze aur wazan uthany se parhaiz karen kyunkay istarah kamar par boojh parney se dard barhta hai, agar dard halqaa halqaa ho to bachon ko uthany se bhi ijtnab karen.

Kamar dard ko mamooli dard nahi samajhana chahiye aur na hi is ke ilaaj mein kotahi karni chahiye, kyunkay ziyada takheer ke nateejay mein mazeed paichidgiyan peda ho sakti hain. Is liye kamar dard ki shikayat ki soorat mein foran maahir doctor se mahswara karen taakay is maslay ka mumkina ilaaj karwaya ja sakay.

Kamar dard ke totkay


Munasib ehtiyat, halki phulki warzish ke alawa aap kamar dard se nijaat ke liye gharelo totkay bhi aazma sakti ya satke hain. Mandarja zail mein chand azmooda gharelo nuskhay bayan kiye gaye hain jo kamar dard se aaraam dilanay mein kaafi had tak kaar amad hain.

Kamar dard se nijat ke liye 5 Adad khushk aloo bukhare, 1 Adad khushk injeer aur 1 Adad khushk khobani ko koot kar powder bana len, aur usay rozana din mein kisi bhi waqt 2 mah tak baqaedagi ke sath khanay se har qisam ka jismani aur kamar dard mukammal tor par khatam ho jata hai.
Yeh nuskha mard o khawateen ke liye yaksaa mufeed hai.

Adrak ka istemal hamare ghar mein taqreeban rozana hi kya jata hai. Adrak ka aik chhota tukda len, usay koot kar uskay paste se jis jagah dard ho wahan 5 minute tak maalish karne se kamar aur baqi jismani dardon mein adfaqa hota hai. Iske alawa aap adrak ki chaye bhi bana kar istemaal kar sakti ya satke hain.

Tulsi ke patto ko kamar dard ke liye mufeed samjha jata hai. Tulsi ke 8 se 10 pattay 1 cupp pani mein shaamil kar ke ublain yahan tak ke pani aadha cupp reh jaye. Thanda hone par is mein ek chutki namak shaamil kar ke dard wali jagah par din mein 2 martaba maalish karen.

khashkhash aur mishri ka safoof kamar dard ke liye bohat mufeed hai. sufoof bananay ke liye 100 gram khashkhaash aur 100 gram msri pees len. Rozana 2 chamach doodh ke sath istemaal karen, aap is sufoof ko doodh ke ilawa khushk bhi istemaal kar sakti ya satke hain.

Khameera gaao zabaan ambari 7 gram mein majun falasfa 7 gram mila len aur aadha chamach subah aur aadha chamach raat ko doodh ya pani ke sath taqreeban do hafton tak istemaal karen. Nuskhay ke istemaal ke drwan iasi, dahi, cold drinks aur khati ashya hargiz nah khayen.
Note: Agar munasib ilaaj aur ahthyat ke bawajood dard mein afaqa nah ho to kisi maahir doctor se rujoo karen taakay mustaqbil mein kisi bari bemari ya masle se bacha ja sakay.
Source :http://zubaidabeauty.com/kamar-dard-ka-ilaj.html

No comments:

Powered by Blogger.